Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics in English - लिखे जो खत तुझे lyrics english
Likhe Jo Khat Tujhe lyrics in English from the movie Kanyadaan (1968), sung by Mohammad Rafi. This evergreen romantic song is written by Gopaldas Saxena (Neeraj) and music is composed by Shankar-Jaikishan. Starring Shashi Kapoor and Aasha Parekh.
Movie/Album: Kanyadaan
Released Year: 1968
Song: Likhe Jo Khat Tujhe
Artist: Shashi Kapoor and Aasha Parekh
Singer: Mohammad Rafi
Composer: Shankar-Jaikishan
Lyricist: Gopaldas Saxena (Neeraj)
Likhe Jo Khat Tujhe Lyrics
Likhe Jo Khat Tujhe, Woh Teri Yaad Mein
Hazaron Rang Ke Nazare Ban Gaye
Likhe Jo Khat Tujhe, Woh Teri Yaad Mein
Hazaron Rang Ke Nazare Ban Gaye
Sawera Jab Hua, Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitare Ban Gaye
Likhe Jo Khat Tujhe
Koi Naghma Kahin Goonja, Kaha Dil Ne Yeh Tu Aayi
Kahin Chatki Kali Koi, Main Yeh Samjha Tu Sharmayi
Koi Khushboo Kahin Bikhri, Laga Yeh Zulf Lehrayi
Likhe Jo Khat Tujhe, Woh Teri Yaad Mein
Hazaron Rang Ke Nazare Ban Gaye
Sawera Jab Hua, Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitare Ban Gaye
Likhe Jo Khat Tujhe
Fiza Rangeen, Adaa Rangeen Yeh Ithlaana, Yeh Sharmana
Yeh Angdaayi, Yeh Tanhaayi, Yeh Tarsaakar Chale Jaana
Bana Dega, Nahin Kis Ko, Jawan Jadu Yeh Deewana
Likhe Jo Khat Tujhe, Woh Teri Yaad Mein
Hazaron Rang Ke Nazare Ban Gaye
Sawera Jab Hua, Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitare Ban Gaye
Likhe Jo Khat Tujhe
Jahan Tu Hai, Wahan Main Hoon, Mere Dil Ki Tu Dhadkan Hai
Musafir Main Tu Manzil Hai, Main Pyasa Hoon Tu Saawan Hai
Meri Duniya Yeh Nazrein Hain, Meri Jannat Yeh Daaman Hai
Likhe Jo Khat Tujhe, Woh Teri Yaad Mein
Hazaron Rang Ke Nazare Ban Gaye
Sawera Jab Hua, Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitare Ban Gaye
Likhe Jo Khat Tujhe..
Written By: Gopaldas Saxena (Neeraj)