Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam Lyrics in English - मेरे महबूब तुझे मेरी मोहब्बत की कसम Lyrics
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam lyrics in English from the movie Mere Mehboob (1963), sung by Mohammad Rafi. This evergreen romantic song is written by Shakeel Badayuni and music is composed by Naushad Ali. Starring Rajendra Kumar and Sadhana.
Movie/Album: Mere Mehboob
Released Year: 1963
Song: Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Artist: Rajendra Kumar and Sadhana
Singer: Mohammad Rafi
Composer: Naushad Ali
Lyricist: Shakeel Badayuni
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam Lyrics
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Phir Mujhe Nargisi Aankhon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Ae Mere Khawaab Ki Taabir, Meri Jaan E Ghazal
Zindagi Meri Tujhe Yaad Kiye Jaati Hai
Raat Din Mujhko Satata Hai Tasawwur Tera
Dil Ki Dhadkan Tujhe Aawaz Diye Jaati Hai
Aa Mujhe Apni Sadaaon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Bhool Sakti Nahi Aankhein Wo Suhana Manzar
Jab Tera Husn Mere Ishq Se Takraya Tha
Aur Phir Raah Me Bikhre The Hazaaro Nagme
Mai Wo Nagme Teri Aawaaz Ko De Aaya Tha
Saaz E Dil Ko Unhi Geeto Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Yaad Hai Mujh Ko Meri Umr Ki Pehli Wo Ghadi
Teri Aankhon Se Koi Jaam Piya Tha Maine
Meri Rag Rag Me Koi Barq Si Lehraayi Thi
Jab Tere Marmari Hathon Ko Chhuaa Tha Maine
Aa Mujhe Phir Unhi Hathon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Maine Ek Baar Teri Ek Jhalak Dekhi Hai
Meri Hasrat Hai Ke Mai Phir Tera Deedar Karun
Tere Saaye Ko Samajhkar Mai Haseen Tajmahal
Chaandni Raat Mein Nazron Se Tujhe Pyar Karun
Apni Mehki Huyi Zulfon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Dhoondta Hoon Tujhe Har Raah Mein Har Mehfil Mein
Thak Gaye Hain Meri Majboor Tamanna Ke Kadam
Aaj Ka Din Meri Umeed Ka Hai Aakhri Din
Kal Na Jane Mai Kaha Aur Kaha Tu Ho Sanam
Do Ghadi Apni Nigahon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Saamne Aake Zara Parda Utha De Rukh Se
Ek Yahi Mera Ilaaj E Gham E Tanhaayi Hai
Teri Furkat Ne Pareshan Kiya Hai Mujh Ko
Ab Toh Mil Ja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai
Dil Ko Bhuli Huyi Yaadon Ka Sahara De De
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara De De
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Mere Mehboob Tujhe
Written By: Shakeel Badayuni